Wednesday, January 30, 2008

my experiment with GANDHI - part- two



Aaj 30 th jan aaj hi ke din naturam godse ne gandhiji ki hatya kar di thi. naturam godse ko kaha maloom tha ki sirf teen goliyo se usne bharat ka kitna bada nuksaan kar diya.

par gandhi naturam ke maarne se thode hi marte.............gandhi ko maarna aasan tha par gandhiji ke vichro ko maarna behad mushkil..gandhi apne vichoro se aaj bhi hume aur puri duniya ko raasta dikha rahe....aadmi ko maarna aasan hota hai par uske vicharo ko maarna possible nahi ye baat sangh parivaar wale kab samjenge?

Bapu ne churi chora ke baad non- coopration ki movement q vaapas li? iska siddha jawab hai apni aur apne movement ki philosophy ko bachane ke liye. koi bhi movement vichardhara ke bal par ladi jaati hai...Aazadi ki puri jung saty aur ahinsa ke vicharo par chal rahi thi..churi chura main police chowki ko aag lagane se aur usmain policewale jal jaane se ahinsa ka ulaanghan huwa tha......agar gandhiji ye baate nazarandaaz karte toh aage aisi baate aur bhi hoti aur movement apne raaste se bhatak jaati............bada neta wohi hota hai jo apni jung ko humesha sahi raaste par rakhata hai aur use bhatakne nahi deta...q ki agar movement apne raaste se bhatak gayi toh LAKSHA paana mushkil hota hai ..aur yahi baat gandhiji jaante the aur esiliye unhone non coopration ki movement vaapas li thi.

Friday, January 25, 2008

my experiment with 'GANDHI'- part - one.

Kai dino se soch raha tha ke blog likhna shuru karu....par kaha se shuru karu samaj main nahi aa raha tha....kis subject par likhu?.......fir socha 'GANDHI' se hi shuruwat karta hu.

Mere bachpan se gandhi mere jivan main alag alag rasto se dishavo se alag alag rupo main saamne aa rahe hai.

Bachpan main sikhaya gaya ye aadmi humara RASHTRAPITA Hai. aage jaakar gandhi ki philosophy samaj ne lagi..bataya gaya ki bapu kahte the ke AHINSA pe viswas rakho aur usi pe chalo....ye bhi bataya gaya ki gandhi kahte the ki koi agar tumhare ek gaal par chaata maare toh tumh tumhara dusra gaal samne karo...mujhe ye bilkul pasand nahi aata....ye toh mujhe kisi kayer insaan ki soch lagti...mujhe kya pata tha ki jise main kayer samaj raha tha usne duniya ke sabse taakatwar nation ki badshahat ko na sirf chunouti di thi balki unki coloniraj ko khutm kar diya tha. jo baat HITLER kai saari banduke aur bumbarding se nahi kar paaya woh gandhi ne apni soch ke bal par kar di khaya.

Gandhi aahista aahista samaj main aa rahe the.....es safar ke duran gandhi ke jitne bhi critic mujhe mile (sirf OSHO rajnish ko chodkar - he critisise gandhi on philosophical level) unki gandhi par likhi sari critisisum se mujhe gandhi aur bhi acche lagne lage.

Aage jaakar history aur politics ki study karte waqt gandhi mere saamne sadi ke sarvottam politiian ke rup main ubhar kar aaye. ek aise politician ke rup main jisne apna saara jivan rashtra ko samarpit kiya bina kisi vyaktigat fayde ko saamne rakhe.

Agar gandhi chahte toh aaj bhi des par mahatma gandhi ke pote par pote raj karte...par gandhi ne aisa nahi kiya. raj toh indira gandhi ki family kar rahi hai jinhe aaj bhi des ki janata mahatma gandhi ke pote samaj kar vote karti hai. par gandhi ka ladka harilal toh behaal halat main mumbai ke aspataal main mar gaya.

Aisa q huwa? kya gandhi apni family ke saat justice nahi kar paate? kya gandhi bhagat singh ko nahi bacha paate? chouri choura ke bad gandhi ne non co-opration movement vaapus q li? bapu ne subhash babu ko madat q nahi ki?gandhi ne pakistan ko 55 pan karod q dene ko kaha? Aambedkar ko puna pact karne ke liye gandhi ne force q kiya? ye sabhi sawal gandhi ke critics gandhiji ko critisise karne ke liye bar baar puchte hai. es har sawaal ka jawab itihaas ke pano par hai....jo samjne main kafi aasan bhi hai...agar samaj ne ki ichaa ho toh...aur agar aap bapu ko bina kisi colour ka chashma pahne dekhe toh.
En sabhi sawaalo ke jawab jo maine dhundhe hai sochta hu ki likhu...par agle blog main...........
jai hind.