Kai dino se soch raha tha ke blog likhna shuru karu....par kaha se shuru karu samaj main nahi aa raha tha....kis subject par likhu?.......fir socha 'GANDHI' se hi shuruwat karta hu.Mere bachpan se gandhi mere jivan main alag alag rasto se dishavo se alag alag rupo main saamne aa rahe hai.
Bachpan main sikhaya gaya ye aadmi humara RASHTRAPITA Hai. aage jaakar gandhi ki philosophy samaj ne lagi..bataya gaya ki bapu kahte the ke AHINSA pe viswas rakho aur usi pe chalo....ye bhi bataya gaya ki gandhi kahte the ki koi agar tumhare ek gaal par chaata maare toh tumh tumhara dusra gaal samne karo...mujhe ye bilkul pasand nahi aata....ye toh mujhe kisi kayer insaan ki soch lagti...mujhe kya pata tha ki jise main kayer samaj raha tha usne duniya ke sabse taakatwar nation ki badshahat ko na sirf chunouti di thi balki unki coloniraj ko khutm kar diya tha. jo baat HITLER kai saari banduke aur bumbarding se nahi kar paaya woh gandhi ne apni soch ke bal par kar di khaya.
Gandhi aahista aahista samaj main aa rahe the.....es safar ke duran gandhi ke jitne bhi critic mujhe mile (sirf OSHO rajnish ko chodkar - he critisise gandhi on philosophical level) unki gandhi par likhi sari critisisum se mujhe gandhi aur bhi acche lagne lage.
Aage jaakar history aur politics ki study karte waqt gandhi mere saamne sadi ke sarvottam politiian ke rup main ubhar kar aaye. ek aise politician ke rup main jisne apna saara jivan rashtra ko samarpit kiya bina kisi vyaktigat fayde ko saamne rakhe.
Agar gandhi chahte toh aaj bhi des par mahatma gandhi ke pote par pote raj karte...par gandhi ne aisa nahi kiya. raj toh indira gandhi ki family kar rahi hai jinhe aaj bhi des ki janata mahatma gandhi ke pote samaj kar vote karti hai. par gandhi ka ladka harilal toh behaal halat main mumbai ke aspataal main mar gaya.
Aisa q huwa? kya gandhi apni family ke saat justice nahi kar paate? kya gandhi bhagat singh ko nahi bacha paate? chouri choura ke bad gandhi ne non co-opration movement vaapus q li? bapu ne subhash babu ko madat q nahi ki?gandhi ne pakistan ko 55 pan karod q dene ko kaha? Aambedkar ko puna pact karne ke liye gandhi ne force q kiya? ye sabhi sawal gandhi ke critics gandhiji ko critisise karne ke liye bar baar puchte hai. es har sawaal ka jawab itihaas ke pano par hai....jo samjne main kafi aasan bhi hai...agar samaj ne ki ichaa ho toh...aur agar aap bapu ko bina kisi colour ka chashma pahne dekhe toh.
En sabhi sawaalo ke jawab jo maine dhundhe hai sochta hu ki likhu...par agle blog main...........
jai hind.

No comments:
Post a Comment